Mehboob Ko Mohabbat Me.n Beqarar Karne Wala Tilism محبوب کو محبت میں بے قرار کرنے والا طلسم (Talisman For Impatience Of Beloved )
Mehboob Ko Mohabbat Me.n Beqarar Karne Wala Tilism
yeh tilism ajeeb o ghareeb hai jo ke huroof aur aadad se murakkab hai ,is tilism ka amil banne ke liye zaroori hai ke is ki zakat batareeq e khas ada ki jaye jiska tariqa yeh hai ke maah e zujasdain me naucjande jumah ko tilism mazkoora ko sat e awal me kali siahi se likhna shuru kare bakhoor uood o sandal surkh ya safed ki barabar raushan rahe ek sau giarah tilism tahreer kare.n sab ko uood o sandal ki dhooni dekar mehfooz kar len isi taur par musalsal giarah dino tak bila nagha saat awal me 111 tilism likh kar zakat mukammal kare giarween roz tamam tilism ko kisi mitti ki handi men rakh kar 11 batashe aur 11 long rakh kar darya burd kare.n aur agar darya samndar qareeb na ho to kisi jungle jhadi me rakh chhore.n khayal rahe darya me dalne ke bad ya jhadi me rakhte waqt niswani awaz sunai dengi uski taraf kuch bhi iltefat mat karna aur baghair pichhe mude apna rasta lena, zakat bakhubi ada ho chuki ab is tilism se jab bhi kam lena ow yani mehboob ko beqarar karna
ya uski tawajja ko apni janib mabzool karana waghaira to matloob ka pehna hua kapda hasil kare aur juma ke din saat e zohra me ke tilism kapde par zafran o mushk ki aamezesh se tehreer kare.n phir fauran usi waqt ek mitti ke chiragh me raughan e chanbeli dal kar us kapde ki batti bana kar chiragh me jala de.n rukh chiragh ka matloob ke ghar ki taraf ho is tilismi fateele ka sar 24 ghante ke andar shuru ho jata hai ,isi trah rozana waqt e muqarrarah par kapde par tilism tehreer kar ke fateela bana le.n aur chiragh raushan kare muddat is amal i 21 yom hai baaz auqat 3 din ya 7 din me hi asar batamam o kamal zahir ho jata agar matloob ka kapda na mile to kisi bhi naye safed kapde par likh sakte hain,is aml me yeh zaroori hai ke matloob talib se bahut ziada door nahi hona chahye jaise ek dusre shehar ya mulk ka fasla na ho balke matloob usi shehar ya qasba me ho jahan talib yeh mal kar raha hai, warna amal ka asar wesa nahi ho payega jaisa ke hona chahiye ,talib o matloob ke darmiyan agar fasla bahut ziada ho to uske liye dusre sainkdo amaliya hain jaise humare yeha se chiragh e muhabbat waghaira dia jata hai lekin is amal me fasla taweel na hone ki qaid zaroor hai ,nihayat mujarrab tilismi amal hai isse ap kai mawaqe par kam le sakte hain jaise shohar ya biwi ghar se naraz ho kar chale jaye ia koi rishtadar jiski himayat aur dosti ki apko zaroorat hai,apka koi dost rooth gaya hai aur usey manana hai waghairah waghaira bahut sare kam is tilism ki zakat ada karke ap le sakte hain zakat ada karne se qabal ijazat lena zaroori hai taake aap ki mehnat zaya na ho aur saahib e izn ki ijazat se amal ki quwat barqarar rahe.